Saturday, December 6, 2008


..... wo tanha kyun hai ?

Koi yeh kaise batay ki wo tanha kyun hai ?

Wo jo apna tha wahi aur kisi ka kyun hai ?

Yahi dunya hai to phir aisi ye dunya kyun hai ?
Yahi hota hai to aakhir yahi hota kyun hai ?

Ek zara hath bada de to pakad le daman
Us k seene me sama jaye hamari dharkan
Itni qurbat hai to phir fasla itna kyun hai ?

Dil-e barbad se nikla nahin ab tak koi
Ek lute ghar pe dya karta hai dastak koi
Aas jo toot gayi phir se bandhata kyun hai ?

Tum masarrat ka kaho ya ise gham ka rishta
Kahte hain pyar ka rishta hai janam ka rishta
Hai janam ka jo yeh rishta to badalta kyun hai ?


??? ??? ??? ??? ???

1 comment:

Arshad Rasool said...

Nice ghazal - one of my all time favourites.
Arshad