Sunday, December 7, 2008

Tanha Musafir


Tera hum safar kahan hai....?



ye chiragh be'nazar hai ye sitara be'zubaan hai


abhi tujh sey milta julta koi doosra kahan hai


wohi shakhs jis pey apney dil'o'jaan nisaar kar dun


wo agar khafa nahi hai to zaroor badgumaan hai


kabhi paa ke tujh ko khona, kabhi kho ke tujh ko pana


ye janam janam ka rishta tere mere darmiyaan hai


mere saath chalney waley tujhey kya mila safar me


wohi dukh bhari zameen hai wohi gham ka aasman hai


mein isi gumaan mein barson bara mutmai'en raha hun


tera jism be'taghayyur hai mera pyaar jawedaan hai


unhi raston ne jin per kabhi tum they saath mere


mujhe rok rok poocha tera humsafar kahan hai?


.....................




No comments: